Khush usko dekhnay k liye kia nahi kartay?

0 Comments

Khush usko dekhnay k liye kia nahi kartay?

khush usko dekhnay k liye kia nhi kartay...
ham hashar dil pe seh k b shikwa nhi kartay

pathar bhi chot kha kar rotay hain haan magar!
ham qatal bhi hotay hain magar aah" nahi kartay

ham k tadap uthain wo guzrain jo pass se
wo k nazar utha k dekha nahi kartay

ye be rukhi tumhari lay lay gi meri jaan
youn bay sabbab kisi se rootha nahi kartay

aaye hain tum se jana! faqat tumko" maangnay
aaye koi to khaali phaira nhi kartay

kal raat chaand mujhse kehnay laga kanwal!
aansoo kisi ki khatirr zaaya nahi kartay

bistar ki salwatain bhi kehnay lageen mujhay
" Shab bhar kisi ki yaad main jaga nhi kartay"

Naadaan Dil ko kese Samjhain ham KaNwAL~
parchaiyoun k peechay bhaaga nahi kartay

Khush usko dekhnay k liye kia nahi kartay
ham hashar Dil pe seh k bhi shikwa nhi kartay.....



Poem Comments

(0)

Please login or register

You must be logged in or register a new account in order to
leave comments/feedback and rate this poem.

Login or Register

Poetry is what gets lost in translation.

Robert Frost (1875-1963) American Poet.