Eid aai mager wo kioun aaya nahi...?

0 Comments

Tags:
  • Eid Poem

    Eid aai mager wo kioun aaya nahi...?

    Eid aai mager wo kioun aaya                          nahi...?
    Eid ki rutt bhi sham e ghareeban hui
    wo jo chanda se payara hay Rab ki qassam
    dekhoun uski jhalak to meri Eid Ho
    chand mere nikal
    k teri deed ho

    Bud naseebi meri k wo chanda mera
    mere angaan main muddat se utra nahin....
    Eid ka saaman Aah main kese karoon??
    k meri eid ka chand nikla nhi
    main kese sajoon k ab Eid per
    kaanch ki chooriyan b wo laya nhi
    Eid aai mager
    wo kiun aaya nahi...?

    aisa lagta hay k ab kisi or ki
    chat pe ban k wo chanda chamaknay laga
    narm hathon ko hathon main thaamay huay,
    jese us nay kaha
    " is kalai main ye kaasni" chooriyan
    kitni sajti hain na"
    buss yahi soch ker
    mere hathon main thaami hui chooriyan
    chan se bikri sabhi
    mere nacklace k motee bikharnay lagay
    dil ki ankhon se phir ashk behny lagay
    mere poroun se phir khoon tipalny laga
    dil b seenay main jese dehaknay laga
    jaan nikalnay lagi,
    jism marnay laga
    apnay hathon se tooti hui chooriyaan,
    or tootay huay dil ki ye kirchiyan,
    main uthaati gaai....
    ankh ansoo lahoo k bahati gai....
    main nay sibghaar ko
    be khabber teri yadoun main kafna dia
    Eid ki rutt, sulaghtay se khawabon samait,
    apna murda badan
    khaak main teri rahoun k dafna dia
    saari sakhiyoun nay mehndi lagaai kanwal~
    haath main nay hinna se rachaya nahi
    Eid aai mager !
    wo kioun aaya nahi....?

    Poem Comments

    (0)

    Please login or register

    You must be logged in or register a new account in order to
    leave comments/feedback and rate this poem.

    Login or Register

    Poetry is not an expression of the party line. It's that time of night, lying in bed, thinking what you really think, making the private world public, that's what the poet does.

    Allen Ginsberg (1926-1997) U.S. poet.