Array be khabbar tujhay kia khabbar......?

0 Comments

Array be khabbar tujhay kia khabbar......?

Array bay khabber tujhay kia khabber...?

teri ik hansi pe fida karoon,
main ye jaan o Dil,
main ye zindagi,
main ye do (2 ) jahan,
main ye sab janam
teri rah guzar pe jhukay jabeen,
tere rastoun pe bichay nazar,
Array be khabber! tujhay kia khabbar...?

tujhay harf harf likha karoon,
tujhay tasbhion pe parha karoon,
tera zikkar meri Qiraat hay,
tera Ishq hay meri bandagi,
wohi raastay meri sajdah gah
jin raastoun pe tere qadam
teri fikar hay, teri yaad hay
mujhay har qadam, mujhay dam ba dam
teri be rukhi meri mout hay,
mujhay phir bhi hay bari muhtaram
teri ik nazar meri chaara gar
Array be khabbar ! tujhay kia khabber...?

tujhay dekhtay dhallay raat or,
tujhay dekh ker mera din chalay
gar choom loon kisi phool ko,
tere jism ki khushbu milay
koi geet ho koi saaz ho,
mujhay har sada pe gumman ho,
jese teri awaz ho
dhoondoon tujhay main gali, gali,
paaoun tujhay main nagar, nagar
Array be khaber tujhay kia khabbar....?

meri nazar k saraab main,
kabhi ik ghari ko utar k dekh!
tera naam likha naffas naffas
Array be khaber kabhi parh k dekh!
tera ishq hay meri ibtada,
tera ishq mera zawwaal hay
mujhay fikar kia hay dayyar ki?
faqat aik tera khayal hay
mujhay bakhsh day naai zindagi
tere payar ki faqat  ik nazar
phir sochti hoon haan magar!
Array be khabbar tujhay kia khabbar...?
Array be khabbar tujhay kia khabbar......?

Poem Comments

(0)

Please login or register

You must be logged in or register a new account in order to
leave comments/feedback and rate this poem.

Login or Register

If I feel physically as if the top of my head were taken off, I know that is poetry.

Emily Dickinson (1830-1886) American poet.